Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Zulf Lehrai Teri Or Meri Takdeer Bani
|
Mohammed Rafi | Ravi | Sunil Dutt, Leela Naidu | |||
Yeh Rastey Hain Pyar Ke (1963) | Rajinder Krishan | Romantic Songs | |||||
zulf lehari teri or meri takdir bani
koi dekhe zara kya pyar ki tasvir bani
jab kabhi badhne lage sham ke thande saye
tere dahke hue ruksar waha kaam aaye
gardishe dahar ne jab jab bhi uchhala mujhko
teri makhmur nigaho ne sambhala mujhko
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
mere pyar ki ek hansi iltza ho
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
mere pyar ki ek hansi iltza ho
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
mere dil ne sazde me gir ke jo mangi
mere dil ne sazde me gir ke jo mangi
mohabbat ki wo pahli pahli dua ho
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
tarannum ko bhi rasak aata hai jis par
mere dil ki wadi me tum wo saza ho
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
meri zindgani agar ek chaman hai
meri zindgani agar ek chaman hai
to phir janeman tum bhi wade sabha ho
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
mere pyar ki ek hansi iltza ho
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
meri khamosh si duniya me hai kyu aaj khalal
maine dekha hai kahi tuta hua tazmahal
ye hawa yu bhi chalegi mujhe malum na tha
zulf nagin bhi banegi mujhe malum na tha
tere ruksaro me garmi ka kahi naam nahi
teri aankho me wafa ka koi paigam nahi
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
wafa jisne luti wahi bewafa ho
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
wafa jisne luti wahi bewafa ho
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
na chheda gaya jispe nagma wafa ka
usi saz ki tum bhi ek sada ho
jo deta hai aankho ko rangin dhokha
wahi khubsurat sa jhutha nasha ho
zara apne dil se to ye puchh ke dekho
mere ho ya tum gair ka aasra ho
mere ho ya tum gair ka aasra ho
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
wafa jisne luti wahi bewafa ho
koi mujhse puchhe ki tum mere kya ho
tum bewafa ho tum bewafa ho
tum bewafa ho tum bewafa ho