Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Zindagi Yun Guzar
|
Khurram Iqbal | Fuzon | ||||
Maatr (2017) | S.K. Khalish | ||||||
be asar hain sari aahe iltejayen rayegan
na koi humdard apna na koi kaharwa
o hum sunaye kisko apni dastane bebasi
zindagi aye zindagi zindagi aye zindagi
zindagi aye zindagi zindagi aye zindagi
ik pal me jaane ki kismat chaal kaisi chal gayi
loriyan thi jo labhon pe aahon mein kyun dhal gayi
kyun aansuon me beh gaye wo khwab jo ankhon me the
dil ki har ik aarzoo bhi sath dil ke jal gayi
o kis tarah jhele koi ab waqt ki ye sandili
zindagi ae zindagi zindagi ae zindagi
zindagi aye zindagi zindagi aye zindagi
bujh gaya har ek manzar chand tare kho gaye
na wo aayi jo bhanwar me do kinare kho gaye
in raston se mit gaye sare hi kadmon ke nishan
mera humsafar khoya to jaise sab sahare kho gaye
ho manzilein bhi ajnabi hai rahguzar bhi ajnabi
zindagi aye zindagi zindagi aye zindagi
zindagi aye zindagi zindagi aye zindagi
bhatke huwe hai raahon mein insan tere ya rabb mere
insaniyat bhoole hai yeh insan tere ya rabb mere
sab jaan ke anjaan hai bas naam ke insaan hai
hai bad se bhi badtar huwe insan tere ya rabb mere
mere khuda karam ka apne jalwa dikha tu sahara de
sunahon doobe dilon ki ilteja tu sahara de
mere khuda mere khuda tu sahara de
mere khuda mere khuda tu sahara de