Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Zindagi Lekar Hatheli Par
|
Manna Dey, Dilraj Kaur, Mohammed Rafi | O P Nayyar | Bindu | |||
Heera Moti (1979) | Ahmed Wasi | ||||||
aji tum mere najdik ho ab dhadkano ki khair ho
julf me uljha hai dil ab uljhano ki khair ho
dusmano ke sath kitne pyar se baithe ho tum
ye dua hai aaj mere dusmano ki khair ho
aji dekhte hai khubsurat pyar ki taswir ko
aaj dete hai dua hum apni hi takdir ko
teer khane ka maja hai aap hi ke hath se
haske rokenge jigar par aapke har teer ko
haske rokenge jigar par aapke har teer ko
zindagi lekar hatheli par diwane aa gaye
zindagi lekar hatheli par diwane aa gaye
aji teer khane ke liye ban kar nishane aa gaye
teer khane ke liye ban kar nishane aa gaye
yu to majnu ko mare kafi jamana ho gaya
kafi jamana ho gaya kafi jamana ho gaya
jan dena pyar me kissa purana ho gaya
kissa purana ho gaya kissa purana ho gaya
muskurana dil ke mitne ka bahana ho gaya
jal julfo ka bicha to kaid khana ho gaya
jal julfo ka bicha to kaid khana ho gaya
laut kar laut kar fir kaid me kaidi purane aa gaye
laut kar fir kaid me kaidi purane aa gaye
khair ho mahfil ki mahfil me diwane aa gaye
khair ho mahfil ki mahfil me diwane aa gaye
aapne dekha hame or dil nishana ho gaya
aji dil nishana ho gaya aji dil nishana ho gaya
aaj diwano ke marne ka bahana ho gaya
aji ha bahana ho gaya aji ha bahana ho gaya
aji aap kahti hai ye kissa purana ho gaya
aaj fir jinda wo majnu ka fasana ho gaya
aaj fir jinda wo majnu ka fasana ho gaya
dekhiye hum aapko laila banane aa gaye
dekhiye hum aapko laila banane aa gaye
teer khane ke liye ban kar nishane aa gaye
teer khane ke liye ban kar nishane aa gaye
ye mere payal nahi hai jindagi ka saz hai
jindagi ka saz hai aji jindagi ka saz hai
jo mere dil me chupi hai ye wahi aawaz hai
ye wahi aawaz hai aji ye wahi aawaz hai
kon jane mere dil pe aaj kaisa raj hai
aag ko shola banana husn ka andaz hai
aag ko shola banana husn ka andaz hai
aap kyu aap kyu is aag me daman jalane aa gaye
aap kyu is aag me daman jalane aa gaye
khair ho mahfil ki mahfil me diwane aa gaye
khair ho mahfil ki mahfil me diwane aa gaye
teri payal ki khanak me maut ki aawaz hai
aji maut ki aawaz hai aji maut ki aawaz hai
do ghadi ka geet hai ye do ghadi ka saz hai
aji do ghadi ka saz hai aji do ghadi ka saz hai
apna daman to jalana ishk ka andaz hai
ye wahi samjhenge jinko apne dil pe naz hai
ye wahi samjhenge jinko apne dil pe naz hai
naz wale naz wale aaj apna dil jalane aa gaye
naz wale aaj apna dil jalane aa gaye
teer khane ke liye ban kar nishane aa gaye
aji teer khane ke liye ban kar nishane aa gaye