Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Zindagi Bhar Nahin Bhulegi
|
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi | Roshan | Madhubala, Bharat Bhushan | |||
Barsaat Ki Raat (1960) | Sahir Ludhianvi | Sad Songs | |||||
zindagi bhar nahi bhulegi vo barsaat ki raat
ek anjaan musafir se mulaakaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi
haay jis raat mere dil ne dhadakna sikha
shokh jazbaat ne sine me bhadakna sikha
meri taqadir se nikhari hui, ho
meri taqadir se nikhari hui sarmaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi vo barsaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi
dil ne jab pyar ke rangin fasane chhede
aankho aankho ne wafao ke tarane chhede
sog me dub gai aaj wo
sog me dub gai aaj wo naghamaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi
ruthnewali ruthnewali meri baat se maayus na ho
bahke bahke khhayalaat se maayus na ho
khatm hogi na kabhi tere mere
khatm hogi na kabhi tere mere saath ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi vo barsaat ki raat
ek anjaan hasina se mulaakaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi