Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Woh Barsaat Ki
|
Mohammed Rafi | Roshan | Madhubala, Bharat Bhushan | |||
Barsaat Ki Raat (1960) | Sahir Ludhianvi | Romantic Songs, Rain Songs | |||||
zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat
ek anjaan hasina se mulaqaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi
haay wo reshmi zulfo se barasta pani
haay wo reshmi zulfo se barasta pani
phool se gaalo pe rukne ko tarasta pani
dil me toofaan uthaate huye
dil me toofaan uthaate huye jazbaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi
dar ke bijli se achaanak wo lipatna uska
aur phir sharam se bal kha ke simatna uska
kabhi dekhi na suni aisi ho
kabhi dekhi na suni aisi tilismaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi
surkh aanchal ko dabakar jo nichoda usne
surkh aanchal ko dabakar jo nichoda usne
dil pe jalta hua ek teer sa chhoda usne
aag pani me lagate huye
aag pani me lagate huye halaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi
mere naghmo mei jo basti hai wo tasveer thi wo
naujawaani ke haseen khwaab ki taabeer thi wo
aasmanon se utar aayi ho
aasmanon se utar aayi thi jo raat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat
ek anjaan hasina se mulaqaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi