Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Wo Barsaat Ki Raat
|
Hemant Kumar | Hemant Kumar | Shobha Khote, Suchitra Sen, Bharat Bhushan | |||
Champa Kali (1957) | Rajinder Krishan | ||||||
zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat
ek anjan hasina se mulakat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat
haye wo reshmi julfo se barasta paani
haye wo reshmi julfo se barasta paani
phul se gaalo par rukne ko tarasta paani
dil mai tufan uthate hue
dil mai tufan uthate hue jajbaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi
dar ke bijli se achanak wo lipatna uska
aur fir sharm se balkha ke simatna uska
kabhi dekhi na suni ho
kabhi dekhi na suni aisi tilasmat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi
surkh aanchal ko jo daba ke nichoda usne
surkh aanchal ko jo daba ke nichoda usne
dil pe jalta hua ek tir sa choda usne
aag pani mai lagate hue ho
aag pani mai lagate hue halat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi
mere nagmo mai jo basti hai wo tasvir thi wo
nojawani ke hasin khawab ki tabir thi wo
aasmno se utar aayi
aasmno se utar aayi jo raat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat
ek anjan hasina se mulakat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi