Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Zindagi Aaj Mere Naam Se Sharamaati Hai
|
Mohammed Rafi | Naushad | Kumkum, Sajid Khan, Kamaljeet | |||
Son Of India (1962) | Shakeel Badayuni | ||||||
zindagi aaj mere naam se sharmati hai
zindagi aaj mere naam se sharmati hai
apni halat pe mujhe khud bhi hansi aati hai
zindagi aaj mere naam se sharmati hai
ek gam chain se jine nahi deta mujhko
ek gam chain se jine nahi deta mujhko
ek uljhan hai jo aksar mujhe tadpati hai
zindagi aaj mere naam se sharmati hai
is tarah chhod ke nikla hu mai apni manzil
is tarah chhod ke nikla hu mai apni manzil
jaise hasrat koi sine se nikal jati hai
zindagi aaj mere naam se sharmati hai
rah chalte huye kuch soch ke ruk jata hu
rah chalte huye kuch soch ke ruk jata hu
har qadam par koi bhuli huyi yaad aati hai
zindagi aaj mere naam se sharmati hai
apni halat pe mujhe khud bhi hansi aati hai
zindagi aaj mere naam se sharmati hai