Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Zaraa Nazaron Se Kah Do Ji Nishaanaa Chuk Na Jaaye
|
Hemant Kumar | Hemant Kumar | Waheeda Rehman, Biswajeet | |||
Bees Saal Baad (1962) | Shakeel Badayuni | Romantic Songs, Ched Chad Songs | |||||
zara nazro se kah do ji nishana chuk na jaye
zara nazro se kah do ji
maza jab hai tumhari har ada katil hi kahlaye
zara nazro se kah do ji nishana chuk na jaye
zara nazro se kah do ji
katil tumhe pukaru ke jaan-e-wafa kahu
hairat me pad gaya hu ke main tumko kya kahu
zamana hai tumhara
zamana hai tumhara chaahe jiski zindagi le lo
agar mera kaha maano to aise khel na khelo
tumhari is shararat se na jaane kis ki maut aaye
zara nazro se kah do ji nishana chuk na jaye
zara nazro se kah do ji
haay, kitni maasum lag rahi ho tum
tumko zaalim kahe wo jhutha hai
ye bholapan tumhara
ye bholapan tumhara ye shararat aur ye shokhi
zarurat kya tumhe talvar ki tiro ki khazar ki
ye bholapan tumhara ye shararat aur ye shokhi
zarurat kya tumhe talvar ki tiro ki khazar ki
nazar bhar ke jise tum dekh lo wo khud hi mar jaye
zara nazro se kah do ji nishana chuk na jaye
zara nazro se kah do ji
hampe kyun is kadar bigadti ho
chhedne wale tumko aur bhi hai
baharo par karo gussa ulajhti hai jo aankho se
hawao par karo gussa jo takarati hai zulfo se
kahi aisa na ho koi tumhara dil bhi le jaye
zara nazro se kah do ji nishana chuk na jaye
zara nazro se kah do ji