Lyrics of Yesu Allah Aur Krishna (Mtv) - येशु अल्लाह और कृष्णा
yeshu allah aur krishna
yeshu allah aur krishna kaun bhagwan hai apna
yeshu allah aur krishna kaun bhagwan hai apna
phul pe phul chadha de, diye pe diye jala de
phul pe phul chadha de, diye pe diye jala de
mala pe mala japna, maal ko andar karna
mala pe mala japna, maal ko andar karna
yeshu allah aur krishna kaun bhagwan hai apna
yeshu allah aur krishna kaun bhagwan hai apna
yeshu allah aur krishna
sant kabir ne, sant kabir ne
sant kabir ne dekh tha ek sapna
jaha paraya koi nahi, jo bhi hai apna
par maharaj ye sant kabir kaun tha
sant kabir kaun tha, sant kabir wo tha
jiski vani thi gyan ki gagariya
sant kabir wo tha jisne apne doho se
manavta ka dharam samjhaya
to aaj isi kabir ke baare me kuchh bolenge
kuch gayenge aur mtv unplugged me rang jamayenge
sant kabir ne dekh tha ek sapna
jaha paraya koi nahi, jo bhi hai apna
ye barso ki baat nahi hai
ye kal ki breaking news bhi nahi
ye intolerance bhi nahi par yaar
ye sant kabir aaya dharti pe
sant kabir dharti pe, dharti pe sant kabir
sant kabir dharti pe, dharti pe sant kabir
are sant kabir aa gaya
pichhe mud ke kya dekhto ho madam
sant kabir tumhare dil me hai
tumhare man me hai sant kabir
ji ha hum sab me hai sant kabir
par ye duniya ki jo duniyadari hai
usme hum bhul gaye hai
to ghar ja ke sochiyega
hum sab me hai sant kabir
to sant kabir aaya dharti pe aur bole
500 saal me kuch khas nahi badla hai
jine ke liye jo zaruri hai wo swas nahi badla hai
poshakh badli hai par insan nahi badla hai
dar wahi hai dar ka saman kahi badla hai
pehle chalti thi talvar ki dhar
ab chalti hai goliyo ki bauchhar
500 saal me kuch khas nahi badla hai
isiliye kabir ne kaha
din me to sab hai gyani, are sadho
din me to sab hai gyani aur raat me chor ki nani
din me to sab hai gyani, raat me chor ki nani