Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Yeh Toh Sach Hai Kee Bhagwan Hai
|
Hariharan, Pratima Rao, Ghansham Vaswani | Ram Laxman | Saif Ali Khan, Mohnish Behl, Karishma Kapoor, Sonali Bendre, Tabu, Salman Khan | |||
Hum Saath Saath Hain (1999) | Ravinder Rawal | Religious Songs | |||||
yeh toh sach hai kee bhagwan hai
hai magar phir bhee anjan hai
yeh toh sach hai kee bhagwan hai
hai magar phir bhee anjan hai
dharatee pe rup ma bap kaa
us vidhata kee pehchan hai
yeh toh sach hai kee bhagwan hai
janmdata hai jo nam jinse mila
thamkar jinakee unglee hai bachpan chala
kandhe par baithke jinke dekha jahan
gyan jinse mila kya bura kya bhala
itne upkar hain kya kahe
yeh batana naa aasan hai
dharatee pe rup ma bap kaa
us vidhata kee pehchan hai
yeh toh sach hai kee bhagwan hai
janam detee hai jo ma jise jag kahe
apanee santan me pran jiske rahe
loriya hothon par sapne bunatee najar
nind jo var de hanske har dukh sahe
mamta ke rup me hai prabhu
aapse paya vardan hai
dharatee pe rup ma bap kaa
us vidhata kee pehchan hai
yeh toh sach hai kee bhagwan hai
aapke khwab ham aaj hokar jawan
us param shaktee se karte hain prarthna
unakee chhaya rahe rehatee duneeya talak
ek pal reh sake ham naa jinke bina
aap dono salamat rahe
sabke dil me yeh arman hai
dharatee pe rup ma bap kaa
us vidhata kee pehchan hai
yeh toh sach hai kee bhagwan hai
yeh toh sach hai kee bhagwan hai
hai magar phir bhee anjan hai
dharatee pe rup ma bap kaa
us vidhata kee pehchan hai
yeh toh sach hai kee bhagwan hai