Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Yeh To Pattharon Ka Shahar Hai
|
Mohammed Rafi | Usha Khanna | ||||
Pattharon Ka Shaher (1972) | Irshad | ||||||
jo juban dil na samajh sake
jo na kah sake kabhi dil ki baat
wahi but hai harsu nigaah mein
jaha dekhiye jaha jaaiye
thi nazar ko chah ki aarzu
yahi ek apni thi justju
ye to patthro ka shaher hai
yaha kisko apna banaiye
wahi valvale wahi marhale
wahi subaho shaam ke silsile
wahi hum rahe, wahi tum rahe
wahi zindgani ke gham rahe
na nasib apna sambhal saka
na hi waqt humko badal saka
yaha zindagi ek zehar hai
ye to ek paraya shaher hai
kise daag dil ke dikhaiye
kise daag dil ke dikhaiye
ye kahani kisko sunaiye
ye to patthro ka shaher hai
yaha kisko apna banaiye
mujhe chhod kar wo chale gaye
mere dil ki dil mein hi reh gayi
ek umeed thi jo bujhi bujhi
mere aansuo mein wo beh gayi
mere dard-e-dil ka ho kya bhala
mera charahghar hi chala gaya
main jeeyu to aakhir kis liye
ke nahin ka koi mere liye
kahan jaake maut ko dhundhiye
kahan jaake maut ko dhundhiye
kahan jaan apni ganwaiye
ye to patthro ka shaher hai
yaha kisko apna banaiye