Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Yeh Subah
|
Shubha Mudgal | Gaurav Issar | ||||
The Awakening (Album) (0) | Ekhlas | ||||||
yeh subah yeh subah yeh subah
yeh subah yeh subah yeh subah
gava mat ise tu gale se lga le
utha inke palko mein apni saja le
bade kimati hai ye shabanam ke moti
bade kimati hai ye shabanam ke moti
ye kahte hai mujhse subah ke ujale
yeh subah yeh subah yeh subah
yeh subah ye aman ki subah
na tute ye bandhan na tute ye rishte
ye paigam de de aman ke farishte
na tute ye bandhan na tute ye rishte
ye paigam de de aman ke farishte
uthega dhuaa ab kisi bhi maka se
na shole dikhenge kisi gulsita se
uthega dhuaa ab kisi bhi maka se
na shole dikhenge kisi gulsita se
fija mein ghula aaj kyun ye jahar hai
pareshan kyun aaj har ek najar hai
ye mandir ye masjid ye girja ke naare
kidhar ja rahe hai hum inke sahare
ye nafrat hai kuchh iska hasil nahi hai
andhera hai bas aage manjil nahi hai
kadam karba ke kadam se mila le
kadam karba ke kadam se mila le
ye kahte hai mujhse subah ke ujale
yeh subah yeh subah yeh subah
yeh subah ye aman ki subah
nahi rahane vale sada ye andhere
chhupe god mein hai isi ke savere
nahi rahane vale sada ye andhere
chhupe god mein hai isi ke savere
yahi jindagi ki hai sachhi kahani
tu duniyan ko deta ja koi nishani
yahi jindagi ki hai sachhi kahani
tu duniyan ko deta ja koi nishani
kahan roj milte hai ye mouke sunhare
vo insa hi kya hak ki raaho mein thahre
mohabbat ka ek deep aisa jala de
jamana ye sar jiske aage jhuka de
tu ban aap khud apne gulshan ka mali
tiki hai kabhi kya koi raat kali
na khud ko andhero ke kar tu havale
na khud ko andhero ke kar tu havale
ye kahte hai mujhse subah ke ujale
yeh subah yeh subah yeh subah
yeh subah ye aman ki subah