Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Yeh Raat Bhigi Bhigi, Yeh Mast Fizaaye
|
Manna Dey, Lata Mangeshkar | Shankar Jaikishan | Nargis, Raj Kapoor | |||
Chori Chori (1956) | Shailendra | Romantic Songs | |||||
ye raat bheegi bheegi ye mast fijaye
utha dheere dheere wo chaand pyara pyara
ye raat bheegi bheegi ye mast fijaye
utha dheere dheere wo chaand pyara pyara
kyun aag si laga ke gumsum hai chandani
sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara
ithlati hawa nilam sa gagan
kaliyo pe ye behoshi ki nami
aise me bhi kyun bechain hai dil
jivan me na jane kya hai kami
kyun aag si laga ke gumsum hai chandani
sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara
ye raat bheegi bheegi ye mast fijaye
utha dheere dheere wo chaand pyara pyara
jo din ke ujale me na mila
dil dhundhe aise sapne ko
iss raat ki jagmag me dubi
main dhundh rahi hu apne ko
ye raat bheegi bheegi ye mast fijaye
utha dheere dheere wo chaand pyara pyara
kyun aag si laga ke gumsum hai chandani
sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara
aise me kahi kya koi nahi
bhule se jo humko yaad kare
ik halaki si musakan se jo
sapno ka jaha aabad kare
ye raat bheegi bheegi ye mast fijaye
utha dheere dheere wo chaand pyara pyara
kyun aag si laga ke gumsum hai chandani
sone bhi nahi deta mausam ka ye ishara