Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Yeh Lo Mai Layi Suyiya Chaku Kainchi
|
Shamshad Begum | |||||
Mr. Sampat (1952) | Pandit Indra, J S Kashyap, | Masti Bhare Geet | |||||
ye lo mai layi suyiya chaku kainchi chhuriya
aayi kabul se yaha lo mai layi suyiya
ye kainchiya to katregi muchhe jawan ki
ye kainchiya to katregi muchhe jawan ki
aur dil me chhed kar degi suyiya zuban ki
ye lo mai layi suyiya chaku kainchi chhuriya
ye hai sudeshi bhakat inki shan dekhiye
ye hai sudeshi bhakat inki shan dekhiye
khaddar ke niche reshmi baniyan dekhiye
lo mai layi suyiya chaku kainchi chhuriya
o seth ji kya ho gaya kyu kar udas hai
o seth ji kya ho gaya kyu kar udas hai
diwaliye hai aap par paise to pas hai
lo mai layi suyiya chaku kainchi chhuriya
aayi kabul se yaha lo mai layi suyiya
ye vaid ji sab rog ek pudiya se bhagate
ye vaid ji sab rog ek pudiya se bhagate
badhti huyi aabadi ko duniya se uthate
lo mai layi suyiya chaku kainchi chhuriya
tabiz deke sabko banate ho tum amir
tabiz deke sabko banate ho tum amiraye bhai aye bhai
kyu tum apni banate nahi takdir
lo mai layi suyiya chaku kainchi chhuriya
parwah nahi ye class me na pas ho gaye
parwah nahi ye class me na pas ho gaye
sigret pine me to ye ustad ho gaye
lo mai layi suyiya chaku kainchi chhuriya
aayi kabul se yaha lo mai layi suyiya
kisne kaha paruhivishan na kamyab hai
kisne kaha paruhivishan na kamyab hai
chupi hai ganga jal ki par andar sharab hai
lo mai layi suyiya chaku kainchi chhuriya
hadtal kara ke leader ji to dur ho gaye
hadtal kara ke leader ji to dur ho gaye
kya gam mare majdur wo meshur ho gaye
lo mai layi suyiya chaku kainchi chhuriya
aayi kabul se yaha lo mai layi suyiya