The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Ye To Allah Ko Khabar Ye To Maula Ko Khabar
0
Mohammed Rafi Kalyanji Anandji Dharmendra
Katilon Ka Katil (1981) Rajinder Krishan Religious Songs
Lyrics of Ye To Allah Ko Khabar Ye To Maula Ko Khabar - ये तो अल्लाह को खबर ये तो मौला को खबर

thagte dekhe hai lakho mulla karodo pandit hazaro sayane
jo khub socha samjh me aaya khuda ki bate khuda hi jane
aake duniya me basar kam karna hai jo kar
aake duniya me basar kam karna hai jo kar
saph niyat hai agar phir na anjam se dar
jane padti hai kidhar uski rehmat ki nazar
jane padti hai kidhar uski rehmat ki nazar
ye to allah ko khabar ye to maulla ko khabar
ye to allah ko khabar ye to maulla ko khabar

dekhte dekhte kyu khel bigad jate hai
dekhte dekhte kyu khel bigad jate hai
kyu baharo me bhare bag ujad jate hai
pyar se pala jinhe apna lahu de dekar
usi dali se wohi phul bichhad jate hai
kisi zalim ka bacha kisi zalim ka bacha
lute mazlum ka ghar lute mazlum ka ghar
ye to allah ko khabar ye to maulla ko khabar
ye to allah ko khabar ye to maulla ko khabar

wo jo chahe to bura waqt bhi taal sakta hai
wo jo chahe to bura waqt bhi taal sakta hai
wo hi kismat ki lakiro ko badal sakta hai
jat par uski bharosa hai to bande ek din
rat ke sine se suraj bhi nikal sakta hai
aadmi ko kya khabar aadmi ko kya khabar
uski manjil hai kidhar uski manjil hai kidhar
ye to allah ko khabar ye to maulla ko khabar
ye to allah ko khabar ye to maulla ko khabar

jane kis bhesh me kis mod pe wo mil jaye
jane kis bhesh me kis mod pe wo mil jaye
teri ummid ki har ek kali khil jaye
dil se nikli huyi fariyad me wo takat hai
wo jo sun le to pahado ka bhi dil hil jaye
mangte rahna dua mangte rahna dua
hoga kis waqt asar hoga kis waqt asar
ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar
ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar

zulm ki aag me zalim ko jalaya usne
zulm ki aag me zalim ko jalaya usne
ek majdur ka ghar phir se basaya usne
naam lete huye uska jo swali aaye
uske darbar se hargij na wo khali jaye
uske ghar der sahi uske ghar der sahi
nahi andher magar jane padti hai kidhar
uski rehmat ki nazar uski rehmat ki nazar
ye to allah ko khabar ye to maulla ko khabar
ye to allah ko khabar ye to maulla ko khabar