Lyrics of Ye Suraj Chand Sitare (Part 1) - ये सूरज, चाँद, सितारें
ye suraj, chand, sitare
sabke liye inke nazare
par teri chamak, bas mere liye hai
teri chamak, bas mere liye hai
tu hai noor hamara
tu hi man ke gagan ka suraj
tu hi mere nayan ka tara
ye suraj, chand, sitare
sabke liye inke nazare
par teri chamak, bas mere liye hai
teri chamak, bas mere liye hai
tu hai noor hamara
tu hi man ke gagan ka suraj
tu hi mere nayan ka tara
tu tham ke ungli meri
abhi sikh raha hai chalna
mai har pal, sath hu tere
tujhe mushkil nahi sambhalna
mat thamna hath kisi ka
tu apne bal par chalna
pairo pe khada hone ko
khud girna, khud hi sambhalna
jo karte hai, khud pe bharosa
jo karte hai, khud pe bharosa
wo lete nahi sahara
tu hi man ke gagan ka suraj
tu hi mere nayan ka tara
maange tu khilauna kya hai
laake main de du khudai
maine tere hi sapno se
ghar ki har chiz sajai
hai swarg yaha, narak yaha
tere hath bigadna, sawarna
jo khwab adhure chhodu
wo khwab tu pure karna
chalna tu waha se aage
chalna tu waha se aage
jaha ruke meri jiwan dhara
tu hi man ke gagan ka suraj
tu hi mere nayan ka tara
ye suraj, chand, sitare
sabke liye inke nazare
par teri chamak, bas mere liye hai
teri chamak, bas mere liye hai
tu hai noor hamara
tu hi man ke gagan ka suraj
tu hi mere nayan ka tara