Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ye Kya Kiya Chauth Mata
|
Usha Mangeshkar | C Arjun | ||||
Karva Chauth (1978) | Kavi Pradeep | ||||||
ye kya kiya chauth mata
kahe tod liya mujhse nata
laaj bacha meri ek aasha hain teri
dukh ye saha na jata
ye kya kiya chauth mata
kuch bhi mera apraadh nahi hain
main nirdosh hu maiya
kuch bhi mera apraadh nahi hain
main nirdosh hu maiya
anjane me kar baitha hain
bhul mera ek bhaiya
bhul mera ek bhaiya
hey sukh data kyu ban gayi tu
hey sukh data kyu ban gayi tu
mere liye dukh data
ye kya kiya chauth mata
ye kya kiya chauth mata
phir se jaga de aake bhagwati
bhaag meri nathni ka
phir se jaga de aake bhagwati
bhaag meri nathni ka
meri vidhwa preet ko de de
phir suhaag ka tika
phir suhaag ka tika
lauta de mere pramshwar ko
lauta de mere pramshwar ko
un bin kuch nahi suhata
ye kya kiya chauth mata
ye kya kiya chauth mata
jab se main bichhadi preetam se
aag se khel rahi hu
jab se main bichhadi preetam se
aag se khel rahi hu
laalat rah ke apmano ki jhadiya jhel rahi hu
jhadiya jhel rahi hu
ab to sara ka sara zamana
ab to sara ka sara zamana
ek sati ko satata
ye kya kiya chauth mata
kahe tod liya mujhse nata
laaj bacha meri ek aasha hain teri
dukh ye saha na jata
ye kya kiya chauth mata