The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Ye Katha Bhakt Bhagwan Ki
0
Kavi Pradeep Ajit Merchant
Ram Bhakt Vibhishan (1958) Saraswati Kumar Deepak
Lyrics of Ye Katha Bhakt Bhagwan Ki - ये कथा भक्त भगवान की

ye katha bhakt bhagwan ki ye katha bhakt bhagwan ki
bhagwan ko chinta rehti hai bhakto ke kalyan ki
ye katha bhakt bhagwan ki ye katha bhakt bhagwan ki

jab jab bhid padi bhakto par prabhu ne aan ubhara
bal bhakt parhlad ko hari ne narsingh banker tara
bhakto ke karan aate hai kayadar insan ki
ye katha bhakt bhagwan ki ye katha bhakt bhagwan ki

tareta yug me jab ravan ne tribuvan ko dahlaya
veer sindhu tajdeer bandhu ne nar ka roop banaya
bhakt vibishan ka dukh harne chale raam aur janki
ye katha bhakt bhagwan ki ye katha bhakt bhagwan ki

site site hey site sun prankuti akulaayi
prankuti ke sath hui thi suni kutiya pran ki
ye katha bhakt bhagwan ki ye katha bhakt bhagwan ki

kehde na bhagwan se jakar ab na kare ve deri
agar nahi aa paye to hogi yaha rakh ki deri
hai mujhko har ghadi partiksha bhagwan ki muskan ki
ye katha bhakt bhagwan ki ye katha bhakt bhagwan ki

ye katha bhakt bhagwan ki ye katha bhakt bhagwan ki
bhagwan ko chinta rehti hai bhakto ke kalyan ki
ye katha bhakt bhagwan ki ye katha bhakt bhagwan ki
dharam ja raha punya ja raha lanka neer bahati
aaj abhaga diya chhod ke dur ho rahi bati
nahi khabar thi ravan ko kya
nahi khabar thi ravan ko kya takat prabhu ke maan ki
ye katha bhakt bhagwan ki ye katha bhakt bhagwan ki

teen lok se nyari mahima do aksar ke naam ki
do aksar ke naam ki tair rahe pathar pani par
ye leela hai raam ki tair rahe pathar pani par
ye leela hai raam ki mahima ved puran sunate
mahima ved puran sunate mahima ved puran sunate
bhagwan ke vardan ki ye katha bhakt bhagwan ki
ye katha bhakt bhagwan ki

bhakt vibishan ne bhishan bankar
kiya anupan tyag re kiya anupan tyag
chada diya parbhu ke charno pe
jivan ka anurag jivan ka anurag
likhi bhakt ne putra rakt se
likhi bhakt ne putra rakt se
ye gatha balidan ki
ye katha bhakt bhagwan ki
ye katha bhakt bhagwan ki