Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ye Jag Bande Tera Hai Do Roz Ka
|
Shankar Dasgupta | Bulo C Rani | ||||
Izzat (1952) | Butaram Sharma | ||||||
ye jag bande tera hai do roz ka
ye jag bande tera hai do roz ka
musafir basera hai
do roz ka
ye jag bande tera hai do roz ka
musafir basera hai
do roz ka
tere baag ki hai ajab dastaan
tere baag ki hai ajab dastaan
kahin shokhiyan hain kahin mastiyaan
magar ye bahaaren hamesha kahaan
jo samjhe to sun keh rahin hain khizaan
ye phoolon ka dera hai do roz ka
ye phoolon ka dera hai do roz ka
musafir basera hai
do roz ka
ye jag bande tera hai do roz ka
musafir basera hai
do roz ka
tadap ke dilon ki duaaen liye ja
tadap ke dilon ki duaaen liye ja
koi kuchh karey tu bhalaai kiye ja
tu neki ke bhar bhar ke saaghar piye ja
subh o shaam tak ki sadaayen liye ja
ye sham o savera hai do roz ka
ye sham o savera hai do roz ka
musafir basera hai
do roz ka
ye jag bande tera hai do roz ka
musafir basera hai
do roz ka