Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ye Bahakti Ghataye
|
Asha Bhosle, Mohammed Rafi | Suresh Kumar | ||||
Rustom-e-Rome (1964) | Naza Sholapuri, Zafar Rahi, | ||||||
ye bahakti ghataaye ye mahakti hawaaye
kah rahi hai humse tumse jaane kya afsaana
kahti hai ye ghataaye kahati hai ye hawaaye
dhadakano ki saaj par ab chhed dil ka tarana
ye bahakti ghataaye
kya haseen bahaare kya jawaa hai mausam
chha raha hai dil par ek nashe ka aalam
chha raha hai dil par ek nashe ka aalam
ishq hai husn hai aur phir tanhaai
ye bahakti ghataaye ye mahakti hawaaye
kah rahi hai humse tumse jaane kya afsaana
ye bahakti ghataaye
patharo ke nagme waadiyo ke saaye
aaj hum khwaabo ki anjuman me aaye
aaj hum khwaabo ki anjuman me aaye
aapke pyar se aarju sharmaaye
ye bahakti ghataaye ye mahakti hawaaye
kah rahi hai humse tumse jaane kya afsaana
ye bahakti ghataaye