Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ye Alag Baat Hai
|
Pankaj Udhas | |||||
Aahat (Pankaj Udhas) (0) | Ghazals | ||||||
ye alag baat hai saqi ke mujhe hosh nahi

hosh itna hai ke main tujh se farmosh nahi

mein teri mast nigahi ka bhram rakh lunga

hosh aaye bhi to kah dunga mujhe hosh nahi
hosh aaye bhi to kah dunga mujhe hosh nahi
hosh itna hai ke main tujh se farmosh nahi
ye alag baat hai saqi ke mujhe hosh nahi
yaad itna hai ke pahuncha dar ae maikhane tak

kya kahun aage ki aage ka mujhe hosh nahi
kya kahun aage ki aage ka mujhe hosh nahi
hosh itna hai ke main tujh se farmosh nahi
ye alag baat hai saqi ke mujhe hosh nahi
mastiyan khub umad aayi hai mahfil mein abhi

hosh wale bhi pukar uthe hume hosh nahi
hosh wale bhi pukar uthe hume hosh nahi
hosh itna hai ke main tujh se farmosh nahi
ye alag baat hai saqi ke mujhe hosh nahi
kabhi un madhbhari aankho se piya tha ik jaam

aaj tak hosh nahi hosh nahi hosh nahi