Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ye Aankhen Dekh Kar Ham Saari Duniyaa Bhul Jaate Hain
|
Suresh Wadkar, Lata Mangeshkar | Hridaynath Mangeshkar | Rakesh Roshan, Reena Roy | |||
Dhanwan (1981) | Sahir Ludhianvi | Songs about Eyes | |||||
ye aankhe dekh kar ham sari duniya bhul jaate hai

inhe paane ki
inhe paane ki dhun me har tamanna bhul jaate hai
tum apni mahki mahki julf ke pecho ko kam kar do

musafir inme girkar apna rasta bhul jaate
bhul jaate hai
ye aankhe dekh kar ham sari duniya bhul jaate hai
ye baahe jab hame apni panaho me bulati hai

hame apni kasam
hame apni kasam ham har sahra bhul jaate hai
tumhare narm-o-najuk hoth jis dam muskrate hai

bahaare jhepti phul khilna bhul jaate hai
ye aankhe dekh kar ham sari duniya bhul jaate hai
bahut kuch tumse kahne ki tamanna dil me rakhte hai

magar jab saamne aate ho to kahna bhul jaate hai
muhabbat me zuba chup ho to aankhe baat karti hai

ye kah deti hai vo baate jo kahna bhul jaate hai