Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Yaqeen
|
Sonu Nigam | Vijay Verma | ||||
31st October (2016) | Mehboob | ||||||
yakin aise tuta bharam apna loota
ye samjhe the hum ki watan hai hamara tumhara
the tinke ki galti gharonda hi toda
ye samjhe the hum ke ye ghar hai hamara tumhara
ye zinda chitaaye ye murda duaaye
kahi tir o nastar kahi chikh o aahe
ke insaan se insaan bachta fire maara maara
maao ke sir se cheeni hai chadar
bilakhte ye nanhe besaaya beghar
maao ke sir se cheeni hai chadar
bilakhte ye nanhe besaaya beghar
kamzor kaandhe pe aulaad ke sang
rakshak bhi hai tu aaj raavan ke afsar
ki daaman hi insaaniyat ka hua para para
laasho ko bhi lutne ye lage hain
jeevan ke saude bhi hone lage hain
ha laasho ko bhi lutne ye lage hain
jeevan ke saude bhi hone lage hain
hai aag harsu magar dil andhere
padosi padosi se darne lage hain
wo vishwas gum hai kahi chup gaya haara haara
har mod par ek kaatil khada hai
wo ghaat me bus isi ki laga hai
har mod par ek kaatil khada hai
wo ghaat me bus isi ki laga hai
ki kab ek lahu dusra khun bahaye
mitti ka ek tan kab duja dhaaye
ki aangan ki gita ka har ek sabak kara kara