The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Yaar Daga De Gaya (Choro Ki Barat)
0
Manna Dey, Jaspal Singh, Anwar Laxmikant Pyarelal
Choron Ki Baaraat (1980) Anand Bakshi Title Song
Lyrics of Yaar Daga De Gaya (Choro Ki Barat) - यार दगा दे गया, हो यार दगा दे गया

yaar daga de gaya, ho yaar daga de gaya
dulhan ko le gaya
yaar daga de gaya, dulhan ko le gaya
chhod gaya sath
aage aage dulha, re pichhe choro ki barat

har gali me dhundte, har kali se puchhte
mil gaya koi nisha, hum chale aaye yaha
har gali me dhundte, har kali se puchhte
mil gaya koi nisha, hum chale aaye yaha
ek to dur thi manjil badi
raah thi mushkil badi
girte sambhalte rahe
hum magar chalte rahe
ye bharosa tha hame, tha hame
itna pata tha hame, tha hame
hum rahe jinda agar, aaj ho ya kal magar
are hogi mulakat
aage aage dulha, re pichhe choro ki barat
aage aage dulha, re pichhe choro ki barat
yaar daga de gaya, dulhan ko le gaya
yaar daga de gaya

vaade sabhi tod ke, apna shahar chhod ke
wo basa pardes me, ek naye desh pe
hamne bhi chhoda watan
bandh ke sar pe kafan
wo nahi ya hum nahi
hum kisi se kam nahi
hum kisi se kam nahi
dekhiye suniye janab, kya tabiyat hai kharab
kisliye ye berukhi, baat nahi aapki
re logo ki hai baat
aage aage dulha, re pichhe choro ki barat
aage aage dulha, re pichhe choro ki barat
yaar daga de gaya, dulhan ko le gaya
yaar daga de gaya

bewafa wo bewafa, wo hai to kya
hum to nahi bewafa
bewafa wo hai to kya
hum to nahi bewafa
hum purani dosti
hum purani dosti todte kaise aji
hum purani dosti todte kaise aji
jaan denge sath hum, hamne khai thi kasam
bewafa wo bewafa, wo hai to kya
hum to nahi bewafa
bewafa wo hai to kya
hum to nahi bewafa
ye sitam ho kisliye kisliye
wo akela kyu jiye, kyu jiye
kis tarah hogi bhala, phul se khushbu juda
kis tarah hogi bhala, phul se khushbu juda
aaj ka din khas hai, dur thi ab paas hai
ho milan ki raat