Lyrics of Yaad Aayi Yaad Aayi - याद आई याद आई
khuskismat hai vo jisko
is kaid se mili rihai
unko vidai dedo
achank apni aankh bhar aayi
yaad aayi yaad aayi
bhuli wo kahani
phir yaad aayi
kal ki zindagani
phir yaad aayi
bhuli wo kahani
phir yaad aayi
yaad aayi yaad aayi
bhuli wo kahani
phir yaad aayi
maa ki kokh se janam
liya to ek sache insaan the hum
wo din bhi kya din the yaaro
jab achhe insaan the hum
chota sa ek ghar tha apna
aankho me tha kya kya sapna
mehant ki roti khate the
phir sukh chain se so jate the
ek din waqt ne karvat badli
ek pal me ye duniya badli
julm sitam se chur huye hum
kuch aise majbur huye hum
julm ki in raaho par aaye
aaye to phir laut na paye oo
kismat ne ye din dikhlaye
mujrim banke jail me aaye
yaad aayi yaad aayi
bhuli wo kahani
phir yaad aayi
kal ki zindagani
phir yaad aayi
bhuli wo kahani
phir yaad aayi
jurm tha apna apne karan
apne sab badnam huye
sath humare un sab ke bhi
sab sapne nilam huye o
kya sapne the kya duniya thi
mamta ki murat ek maa thi
jaan se pyari thi ek
behna uske liye tha
zinda rahna
behna ka the byah rachana
doli ko kandha tha lagana
dawar magar baraat na aayi
wo behna rah gayi anbyahi
o jane wo kis haal me hogi
jali chitaye apne sapno ki
uske bina mar mar jita hu
khun ke aansu ab pita hu
yaad aayi yaad aayi
bhuli wo kahani
phir yaad aayi
kal ki zindagani
phir yaad aayi
bhuli wo kahani
phir yaad aayi
yaad aayi yaad aayi
bhuli wo kahani
phir yaad aayi