Lyrics of Ya Toh Daulat Ki Aarjoo Hai Tujhe - या तो दौलत की आरज़ू हैं तुझे
ya to daulat ki aarzu hai tujhe
ya koi mujhse bhi jyada, tera deewana hai

is tarah raat din chaahat mein, tadapata nahi koi
jaise dil todke gaye ho, aise dil todke jaata nahi koi

pal mein tum to badal gaye ho, aur badle hai iraade
sheeshe ki tarah se tute, ishq ke saare waade

daulat ke aage to dekho, pyaar humesha haara
dekh lo meri saanse bhi, unpe hai naam tumhara
ya to shoharat ki justju hai tujhe
ya alag hone ka, phir se koi bahana hai
ya to shoharat ki justju hai tujhe
ya alag hone ka, phir se koi bahana hai
is tarah raat din chaahat mein, tadapata nahi koi
jaise dil todke gaye ho, aise dil todke jaata nahi koi
dard bahut hai zakhm bahut hai, par roke kya milna
deewano aur parwano ka kaam hai, ek din jalna

mere aansu moti samjho, ya tum samjho paani
itna yakin hai tumse huyi hai, kuch na kuch naadani
ya to do pal ka, kuch junun hai tujhe
ya to is rishte ka, naam-o-nishaan mitana hai