Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Woh Aankhe Kya Aankhe
|
Manna Dey | S K Pal | ||||
Maa (1952) | Bharat Vyas | ||||||
wo aankhe kya aankhe jinme
aansu ki dhar nahi
wo dil patthar hai
jis dil me mata ka pyar nahi
wo aankhe kya aankhe jinme
aansu ki dhar nahi
wo dil patthar hai
jis dil me mata ka pyar nahi
dharti si dhiraj wali
aur aakash si nirmal maa
ganga si pawan man bhawan
jamuna si nichchhal maa
bhagwan bhagwan
bhagwan banayi hai tune duniya me kaisi maa
jo sab kuch de aur kuch bhi na le
jo sab kuch de aur kuch bhi na le
bas ek hai aisi maa
duniya me hazaaro naate
duniya me hazaaro naate
par mata do char nahi
wo dil patthar hai
jis dil me mata ka pyar nahi
wo aankhe kya aankhe
bachpan ki pyar bhari godi ke
mithe mithe jhule
haye mithe mithe jhule
lori ka
lori ka wo sangeet madhur koi kab kaise bhule
mata ka ye nirmal nata
mata ka ye nirmal nata
tute na koi tode
insaan nahi haiwan hai wo
jo maa se bhi munh mode
insaan nahi haiwan hai wo
jo maa se bhi munh mode
wo jivan kya jivan
wo jivan kya jivan
jisme mamta ka taar nahi
wo dil patthar hai
jis dil me mata ka pyar nahi
wo aankhe kya aankhe