Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Wo Zulfein Bekhere Wo Masti Lutaye
|
Anwar | Anwar | ||||
Mehboob Mere (1995) | Anwar Farrukhabadi | Ghazals | |||||
wo zulfe bikhere wo masti lutaye
wo bankar qayamat chale aa rahe hain
khudaya mere zapt ki laaj rakhana
mere dil pe kya kya sitam dhaa rahe hain
wo zulfe bikhere wo masti lutaye
wo chehare pe surkhi zabi pe pasina
wo zulfe muakar parisha parisha
wo chehare pe surkhi zabi pe pasina
wo zulfe muakar parisha parisha
ada behki behki nazar sahmi sahmi
nigahe milane se katra rahe hai
wo zulfe bikhere wo masti lutaye
jo likhte the mujhko salaame mohabbat
mere paas aaye jo bechain ho kar
jo likhte the mujhko salaame mohabbat
mere paas aaye jo bechain ho kar
ye unki ada hai ke unki haya hai
gale lag gaye hai to ghabra rahe hain
wo zulfe bikhere wo masti lutaye
mujhe fakar tha apni us berukhi par
mujhe naaz tha apni sadadili par
mujhe fakar tha apni us berukhi par
mujhe naaz tha apni sadadili par
wo jiske tasavvur se main tha gureza
mere dil ki duniya pe wo chha rahe hain
wo zulfe bikhere wo masti lutaye
wo bankar qayamat chale aa rahe hain
khudaya mere zapt ki laaj rakhana
mere dil pe kya kya sitam dhaa rahe hain
wo zulfe bikhere wo masti lutaye