Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Wo Jo Shaayar Tha
|
Bhupinder Singh | Bhupinder Singh | ||||
Woh Jo Shair Tha (Bhupinder Singh) (0) | Gulzar | Ghazals | |||||
wo jo shayar tha chup sa rahta tha
bahaki bahaki si baaten karta tha
aankhe kano pe rakh ke sunta tha
gungi khamosh ho ke aawaze
wo jo shayar tha zama karta tha
chand ke saye gili gili si noor ki boonde
aankh mein bhar ke khadkhadata tha
rukhe rukhe se raat ke pate
waqt ke is ghanere jungl mein
kachche pakke se lamhe chunta tha
wo jo shayar tha
haan wahi jo ajeeb sa shayar raat ko uth ke
kohaniyon ke bal chand ki khodi chuma karta tha
chand se gir ke mar gaya hai wo
log kahte hai khudkhushi ki hai
log kahte hai khudkhushi ki hai
log kahte hai khudkhushi ki hai
wo jo shayar tha wo jo shayar tha
wo jo shayar tha wo jo shayar tha