Lyrics of Wo Jahan - वो जहाँ
neela aakash jo ek samandar hai
usme kahi koi aisa sitara bhi hai
jisme dusri ek duniya ho basi, jisme ho jaagti zindagi
par humse alag, humse judaa ek nishaan bhi
na ho jahan dard ka, jina jaha ho nahi mushkil
koi rota na ho, chain khota na ho
ho ye sabko yakin, koi tanha nahi
na kabhi toote kisi ka dil
wo jahaan, koi dukh ho na ho koi gham
wo jahaan, palke naa ho nam
dilo me ho na diware na duriya, wo jahaan pure ho armaan
sabko ho ye pataa sab dilo me
mohabbat ek gehri dhara bhi hai
neele aakash me koi aisa sitara bhi hai
neele aakash ke is samandar ka
chand ki kashti me maine kiya hai safar
dhundti ho agar tum jo duniya hasin
wo duniya hai yahi, wo yahi hai kahi
ha magar uske chehre par
nafrat ki, zulm ki ek dhul hai jam gayi
ha magar uske tan pe lipti lalach ki hai zanjir to
wo duniya aate aate tham gayi
uske chehre se ye dhul hat jaaye to
uske tan se ye zanjir kat jaaye to
dekhna phir yaha is zamin par hi hogi wo duniya
wo jahaan, koi dukh ho na ho koi gham
wo jahaan, palke naa ho nam
dilo me ho na diware na duriya, wo jahaan pure ho armaan
muskurati ho chehro pe ek roshni
zindagi ho mohabbat bhari zindagi