Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Wo Jab Jalwa Dikhata Hai
|
Yusuf Azad | Manohar | ||||
Mr.q (1958) | Asad Bhopali | ||||||
vo jab jalwa dikhata hai musibat aa hi jati hai
jamana tham bhi jata hai kayamat aa hi jati hai
kabhi bijli girate hai ye katil muskurahat ke
kabhi ye teer barsate hai najaro ki lagavat se
lubate hai sitamgar ye kabhi dil ko balavat se
kabhi diwana kar dete hai jalim sajavat se
ye vo andaj hai jinse najakat aa hi jati hai
najakat aa hi jati najakat aa hi jati hai
jamana tham bhi jata hai kayamat aa hi jati hai
jamana tham bhi jata hai kayamat aa hi jati hai
hasino ki yu pehle to kabhi baat hoti hai
magar ek baat me chhupi unki ek gath hoti hai
jamane unihi ka jamane unihi ka din
unhi ki raat hoti hai
ke inki jeet kar bhi aashiqo ki maat hoti hai
hasin surat ho to tabeeyat aa hi jati hai
jamana tham bhi jata hai kayamat aa hi jati hai
jamana tham bhi jata hai kayamat aa hi jati hai
jamana tham bhi jata hai kayamat aa hi jati hai
nigaho se utar kar dil me ye mehman hote hai
sitam date hai lekin pyar se anjan hote hai
unhe apna jo samjhe vo bade nadan hote
katal jitne bhi hote hai vo beiman hote hai
magar jab dil me aate hai mohabbat aa hi jati hai
mohabbat aa hi jati mohabbat aa hi jati hai
jamana tham bhi jata hai kayamat aa hi jati hai