Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Wo Din Na Rahe To
|
Asha Bhosle | Sonik Omi | ||||
Rakhwale (1994) | Kulwant Jani | ||||||
wo din na rahe to
ye din bhi ye yaar gujar hi jayenge
wo din na rahe to
ye din bhi ye yaar gujar hi jayenge
jab gham ki ghata chhat jayegi
jab gham ki ghata chhat jayegi
rangin savere aayenge
wo din na rahe to
ye din bhi ye yaar gujar hi jayenge
dukh sukh ka mausam hota hai
har zakhm ka marham hota hai
dukh sukh ka mausam hota hai
har zakhm ka marham hota hai
bas yaad rahe ye baat meri
dukh baanto to kam hota hai
hum dukh sukh baant ke aapas me
jivan ko swarg banayenge
hum dukh sukh baant ke aapas me
jivan ko swarg banayenge
jab gham ki ghata chhat jayegi
jab gham ki ghata chhat jayegi
rangin savere aayenge
wo din na rahe to
ye din bhi ye yaar gujar hi jayenge
din raat badalte rahte hai
halat badalte rahte hai
din raat badalte rahte hai
halat badalte rahte hai
dil ek hi rahta hai lekin jajbaat badalte rahte hai
jajbaat ki garmi se hum tum
patthar me phul khilayenge
jajbaat ki garmi se hum tum
patthar me phul khilayenge
jab gham ki ghata chhat jayegi
jab gham ki ghata chhat jayegi
rangin savere aayenge
wo din na rahe to
ye din bhi ye yaar gujar hi jayenge