Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Wo Din Kaha Gaye Mere
|
Asha Bhosle | Ravi | ||||
Vachan (1955) | Prem Dhawan | Sad Songs | |||||
wo din kaha gaye mere
wo din kaha gaye mere wo din kaha gaye
sapno se mithe geeto se pyare
wo din kaha gaye mere wo din kaha gaye
bairan wo haye kaun ghadi thi
palko ki khidki mai khole khadi thi
bairan wo haye kaun ghadi thi
palko ki khidki mai khole khadi thi
anjanepan se jo ankhe ladi thi
anjanepan se jo ankhe ladi thi
un ankho ko bhul gaye
wo din kaha gaye mere wo din kaha gaye
taro se jhilmil gagan ke niche
taro se jhilmil gagan ke niche
chipke khadi thi mai pipal ke piche
chupke se jisne mere nain miche
chupke se jisne mere nain miche
wo chaliya kaha gaye
wo din kaha gaye mere wo din kaha gaye
o mere man o mere man ab na aansu baha re
chip gaye jab teri kismat ke tare kismat ke tare
kahe ko pagle tu rah rah pukare rah rah pukare
wo din kaha gaye mere wo din kaha gaye
sapno se mithe geeto se pyare
wo din kaha gaye mere wo din kaha gaye