Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Wo Bhi Hai Aadmi
|
Geeta Dutt | S N Tripathi | ||||
Jagga Daku (1959) | B D Mishra | ||||||
duniya me julm karta wo bhi hai aadami
juilmo sitam se marta wo bhi hai aadami
koi mahal me rahke phula nahi samaata
galiyon me besahaara aansu koi bahaata
sukh chain se jo rahta wo bhi hai aadami
dukh sahu ke kuch na kahta wo bhi hai aadami
duniya me julm karta wo bhi hai aadami
juilmo sitam se marta wo bhi hai aadami
ek hai naseeb wala jo paalki me jata
aur badnaseeb wo hai jo paalki uthata
kaandho ka bhaar banta wo bhi hai aadami
bojha uthaake chalta wo bhi hai aadami
duniya me julm karta wo bhi hai aadami
juilmo sitam se marta wo bhi hai aadami
koi jahaa me aaye koi jahaa se jaaye
koi khushi manaaye maatam koi manaaye
jinda hai jism jiska wo bhi hai aadami
murda kafan me lipta wo bhi hai aadmi
duniya me julm karta wo bhi hai aadami
juilmo sitam se marta wo bhi hai aadami