Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Wo Aayenge Gagan Ki Neeli
|
Shamshad Begum | Sajjad Hussain | ||||
Khel (1950) | Zia Sarhadi | ||||||
wo aayenge wo aayenge
wo aayenge suna hain aaj ayenge
gagan ki neeli neeli
odhni ko sar pe odh ke
jhuka ke sar kisi se
ham kahenge haath jod ke
gagan ki neeli neeli
odhni ko sar pe odh ke
jhuka ke sar kisi se
ham kahenge haath jod ke
ki aap hamko chhod ke
hamare dil ko tod ke
kahi to fir na jayenge
kahi to fir na jayenge
sitare dagmaga gaye
jameen ka chand dekhakar
sitare dagmaga gaye
jameen ka chand dekhakar
tadap ke sare rah gye
mili nazar se jab nazar
jab aasma pe rahne wale
taro ka ye haal hain
to apni kya majal hain
ki dil ki baat kah sake
ki dil ki baat kah sake
nazar ek teer sah sake
wo teer aise teer hain
ki dil ko cheer jayenge
ki dil ko cheer jayenge
wo aayenge wo aayenge
wo aayenge suna hain aaj ayenge
gagan ki neeli neeli
odhni ko sar pe odh ke
jhuka ke sar kisi se
ham kahenge haath jod ke
ki aap hamko chhod ke
hamare dil ko tod ke
kahi to fir na jayenge
kahi to fir na jayenge