Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Wo Aaj Apni Mehfil Me Aaye Huye Hai
|
Mohammed Rafi | Ravi | Ajit | |||
Mehandi (1958) | Kamil Rashid | Qawwalis | |||||
wo aaj apni mahfil me aaye hue hai
jo kotho ki ronak badhye hue hai
jo kotho ki ronak badhye hue hai
jo dukan apni sajaye hue hai
gali or kuche basaye hue hai
wo aaj apni mahfil me aaye hue hai
jo ghunghru ki payal ki jhankar lekar
kuch inkar lekar kuch karar lekar
jara saudabaji ki takrar lekar
nigaho me bijli chupaye hue hai
wo aaj apni mahfil me aaye hue hai
hai apna banane ke andaz sare
ye kesu ye chitwan adaye ishare
mila jo bhi usse kaha hai tumhare
are ye dhokha hai jo hum bhi khaye hue hai
wo aaj apni mahfil me aaye hue hai
ye kotho ki malika ye kucho ki rani
ye bazar ke manchalo ki jawani
ye kotho ki malika ye kucho ki rani
ye bazar ke manchalo ki jawani
ye aashik mizazo ki rangin kahani
are sitam sari dunia pe dhaye hue hai
wo aaj apni mahfil me aaye hue hai