Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Waqt Ne Jo Bij Boyaa
|
Rekha Bhardwaj | Adnan Sami | Luv Sinha, Ferena Wazeir | |||
Sadiyaan (2010) | Sameer | Dard Bhare Geet | |||||
waqt ne jo bij boya woh zamino pe na dikhayi de
kisne paya kisne khoya har ghadi har pal woh gawahi de
sadiyan ve han sadiyan ve
waqt ne jo bij boya woh zamino pe na dikhayi de
kahin samay ki akeli dhoop mein
yadein mili hain kayi roop mein
bhikra bhikra dard sehra
khwabon khayalon ka pechida safar
yadon mein doobi doobi sham o sehar
ansune afsano ka besuban kehti
guzare lamho ki lehron mein beh ke sadiyan ve
waqt ne jo bij boya woh zamino pe na dikhayi de
baiji teri jyoti lagariyan khil gayi meri phulwariyan
tera jhoola meri bahein tere hi dum se mere dono jahan
tere bina to marr jayegi ma teri suni lori ko na bhula paye
meri mamta ko dohrayenge sadiyan ve
waqt ne jo bij boya woh zamino pe na dikhayi de
barsi khuda ki sari rehmatein layi asar meri hasratein
main khushi se marr na jaun tune pukara mujhe keh ke jo ma
tooti ragon mein jaise daudi hai jan kya kahoon lakhte jigar
saal yun bite tere bin ik pal mein jaise
bitay hai meri sadiyan ve
waqt ne jo bij boya woh zamino pe na dikhayi de
khushiyon ke asu se bhige na man
mere kalajay ki bhuji agan sab muradein poori ho gayi
mujhko mila hai mannato ka sila
allah se ab na mujhe koi gila
meri mamta tere bin yun hi reh jati adhoori
iss ko na kar pati poori sadiyan ve
waqt ne jo bij boya woh zamino pe na dikhayi de