Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Vo Tir Kaleje Par Ik Shokh Ne Mara Hai
|
Mukesh Chand Mathur | Bulo C Rani | Nargis, Jairaj, Anwar Husain, Anwari Bai, Neelam | |||
Anjuman (1948) | Majrooh Sultanpuri | ||||||
wo tir kaleje par
ek shokh ne mara hai
wo tir kaleje par
ek shokh ne mara hai
har dard me tasqi hai
har gam hume pyara hai
har dard me tasqi hai
har gam hume pyara hai
wo tir kaleje par
wo jinke tasavvur me han han
wo jinke tasavvur me
roshan hai meri duniya
roshan hai meri duniya
roshan hai meri duniya
roshan hai meri duniya
hai chaand khyalo ka
aankho ka sitara hai
hai chaand khyalo ka
aankho ka sitara hai
wo tir kaleje par
daaman ko bacha lena
daaman ko bacha lena
to kaam hai duniyaa ka
daaman ko bacha lena
to kaam hai duniyaa ka
hum dil ko jalaayenge
ye kaam humara hai
hum dil ko jalaayenge
ye kaam humara hai
wo tir kaleje par
allaah re wo nazre
ab jinke ishaare par
allaah re wo nazre
ab jinke ishaare par
jina bhi gawara hai
marna bhi gawara hai
jina bhi gawara hai
marna bhi gawara hai
wo tir kaleje par