Lyrics of Vishwatma - विश्वात्मा
is brahmaan ka ek ansh hain
ye sansaar ye dharti ye dhara ye prithvi
isme jivan daata, paalan karta aur sangharkarta ko
bhagvaan, ishwar, parmaatma ya vishwatma kehte hain
par hamari ye kahani us ishwar ya bhagwan ki nahi
is vishv me aayi un aatmao ki hain
jo parmaatma ka ek ansh hain
aur vo ansh jivaatma ka rup lekar dharti par aata hain
to manushy kehlaata hain
jo manushy apne jivan ke uddeshy ko
apne lakshy ko nahi jaanta aur us tak nahi pahuch paata
vo ek saadharan insaan ban kar reh jaata hain
lekin jis insaan ko apne lakshy
aur uddeshy ka gyan ho jaata hain aur usko paane ke liye
vo apne jivan aur mrityu ko koi mahattav nahi deta
vo aatma ek saadharan manushy se uncha uth kar
ban jaati hain vishwatma vishwatma vishwatma
jis insaan ko apne lakshy
aur uddeshy ka gyan ho jaata hain aur usko paane ke liye
vo apne jivan aur mrityu ko koi mahattav nahi deta
vo aatma ek saadharan manushy se uncha uth kar
ban jaati hain vishwatma vishwatma vishwatma
vishwatma vishwatma vishwatma vishwatma
vishwatma vishwatma vishwatma vishwatma
vishwatma vishwatma vishwatma vishwatma