Lyrics of Vande Mataram - वंदे मातरम
ik tera naam hai saancha ho, ik tera naam hai saancha
mann meriya ne baancha bas naam tera maa ho
ek pehchaan meri tu hi
jind jaan meri tu hi, jahaan mera maa
tujh pe vaarna sau waari jaan main
tujh pe vaarna sau waari jaan main
tere qurbaan meri maa
vande mataram, vande mataram
vande mataram, vande mataram
aa gayi ghadi hai dekho sabse badi
hai mujhse bas do kadam pe dekho jeet khadi
haan mujhe kab se intezaar tha aaj ki shaam ka
ab dekho kya karta hai ye banda hindustan ka
jo kisi ke bhi aage jhuka nahi, haan main hun us desh ka
tu baith ke le nazaara is treble aur bass ka
seedha chalun ya chalun dhai dhai chaal main
khel mera hoga ye dekh lambi race ka
mitti ka karz hai main mar ke bhi chukaunga
tujhe mitti kar doonga
ya phir main mitti mein mill jaaunga
jo bhi kaha tha main wo karke dikhaunga
india se hoon khaali haath nahi jaaunga
abe jam ke pakad jhaad dunga, tujhko main ukhad dunga
jahaan se tu aaya hai na wahin tujhe gaad doonga
teri zameen pe aaj tujhe hi pachhaad doonga
jhanda india ka bete, gaad doonga
jeetoon ya haarun mujhe koi parwaah nahi
tumko main dikhaaun mujhe koi parwah nahi
maa hi mera rab hai, meri maa hi mera peer meri
maa ke pairon ke alawa koi dargah nahi
naachunga naachunga mujhko fitoor hai
naachunga naachunga dil majboor hai
aaj ki shaam meri maa ke hai naam
meri maa mujhe dekhegi, naachna zaroor hai
main jeetun ya haarun mujhe naachna zaroor hai
meri maa mujhe dekhegi, naachna zaroor hai
naachna zaroor hai, mujhe naachna zaroor hai
maa maa mujhe naachna zaroor hai
maa meri mujhe dekhegi, naachna zaroor hai
rang kesar soora waaleya
rang sabj khili fulkariyan
ho rang chitta niyat saaf da
ho rang teenon jaan se pyaareya
rang teenon jaan se pyaareya ho rang meri maai ka
rang sachchai ka har achchhai ka hai maa
rang teri reet ka, rang teri preet ka
rang teri jeet ka hi chhaaye chhaaye
kaise main chukaawan tera ehsaan
maai teri chunariya lehraaye
jab tak mujh mein hai zara si jaan
maai teri chunariya lehraaye
ik tera naam hai saancha ho, vande mataram, vande
sujalaam suphalaam malayaj sheetlaam
sasya shyaamalaam maataram vande
sujalaam suphalaam malayaj sheetlaam
sasya shyaamalaam maataram vande
sujalaam suphalaam, malayaj sheetlaam
sasya shyaamalaam maataram vande
aye maai re, shubhrajyotsnaa pulakita yaaminim
pulla kusumita drumadala shobhinim
suhaasiniim sumadhura bhaashhinim
sujalaam suphalaam malayaj sheetlaam
sasya shyaamalaam maataram vande
sujalaam suphalaam malayaj sheetlaam
sasya shyaamalaam maataram vande
sujalaam suphalaam malayaj sheetlaam
sasya shyaamalaam maataram vande, maai re