Lyrics of Vaah Teraa Kyaa Kahanaa - वाह तेरा क्या कहना
apne rukh se zara parda jo hataya hamne
aa chand sa chehra jo mehfil ko dikhaya hamne
kisi ki aankh jhuk gayi jhuk gayi
kisi ki sans ruk gayi ruk gayi
kahi chilman sarak gaya, kisi ka dil dhadak gaya
kahi chilman sarak gaya, kisi ka dil dhadak gaya
ham aa gaye mehfil me aayega ab maza
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
vaah tera kya kehna, arre vah tera kya kehna
vaah tera kya kehna, vaah vah tera kya kehna
ham to vo hai jo nazaro ka pata dete hai
chand suraj ka sitaro ka pata dete hai
zid pe aa jaaye to sholo ko bujha dete hai
ham to pani me bhi ik aag laga dete hai
aise aashiq ko
aise aashiq ko ham ungali pe nacha dete hai
ha nacha dete hai, ha nacha dete hai
sirf kehte hi nahi kar ke dikha dete hai
aa tumko is tarah mitaaye ke nishaani na mile
tumko aisi jagah maare jahan pani na mile
hamko maasum na samajho ki ham chalak bhi hai
jitne bhole hai utane hi khatarnak bhi hai
are ibtadaa-e-ishq hai rota hai kya, rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
vah tera kya kehna, arre vaah tera kya kehna
vah tera kya kehna, vaah vaah tera kya kehna
aise vaise kaise kaise ho gaye
kaise kaise aise vaise ho gaye
mit gaye hamko zamane se mitane vaale
bujh gaye shama ke maanid bujhane vaale
khak me mil gaye khud khak banane vaale
qatl khud ho gaye talvar dikhane vaale
chamak sakte hai ye jugnu ujala kar nahi sakte
uda ke khak suraj ko ye andha kar nahi sakte, kaun hai
jo khud ko raah-e-vafa me mita nahi sakte
kabhi vo manzil-e-makasud pa nahi sakte
ye char roz ki talvar bandhane vaale
kabhi hamare mukabil me aa nahi sakte
kabhi bhi aa nahi sakte, haan ji haan aa nahi sakte
aagosh me bekhabar sota hai kya, sota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
khuda kare ke hasino ke baap mar jaaye
aur hamare vaste maidan saaf kar jaaye
vaah tera kya kehna, arre vaah tera kya kehna
vaah tera kya kehna, vaah vaah tera kya kehna
o jaan-e-man jaan-e-man jaan-e-man
jaan-e-man dekh aazmayi me, moch aa jayegi kalayi me
samane aa jaao jo dulhan banke
jaan de dege munh dikhayi me
jo achchhe hai unki kahani bhi achchhi
ladakpan bhi achchha javani bhi achchhi
tere tir ko kyun na dil me jagah de
tere tir ko kyun na dil me jagah de
nishana bhi achchha nishani bhi achchhi
tum apni chahato ko ek hasin mod do
logo pe tohmate tum lagana chhod do
hota vahi hai jo mazur-e-khuda hota hai
taqat ka aur gurur ka ab shisha tod do
ye shisha tod do, tum ye shisha tod do
allah miya ko sab pata hai socha hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya