Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Uthe Hai Haath Mere Ab To
|
Asha Bhosle | N Datta | ||||
Dilawar (1966) | Aziz Kashmiri | ||||||
uthe hai hath mere
ab to ek dua ke liye
utha le maut zamane se
ab khuda ke liye
ilahi tu hi bata kya hai zindagi meri
luti hai samne aankho ke har khushi meri
ilahi tu hi bata kya hai zindagi meri
luti hai samne aankho ke har khushi meri
ilahi tu hi bata
raha na koi sahara tere karam ke siva
bacha nahi mere daman me
kuch bhi gam ke siva
kuch bhi gam ke siva
andhera ban gaya
andhera ban gaya aankho ki roshni
luti hai samne aankho ke har khushi meri
ilahi tu hi bata
hamari duniya me chaaro taraf ujale the
zamana aaj kyu udata hai hansi meri
luti hai samne aankho ke har khushi meri
ilahi tu hi bata
saja ke pehle bata de kasur kya hai mera
tujhi se hai meri fariyad tu khuda hai mera
tu khuda hai mera chhupi hai kyu
chhupi hai kyu
luti hai samne aankho ke har khushi meri
ilahi tu hi bata kya hai zindagi meri
luti hai samne aankho ke har khushi meri
ilahi tu hi bata