Lyrics of Usko Nahin Dekha Hamne Kabhi - उसको नहीं देखा हमने कभी
us ko nahi dekha humne kabhi
par iski zarurat kya hogi ai maan
ai ma teri surat se alag
bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
us ko nahi dekha humne kabhi
insan to kya devata bhi aanchal me pale tere
hai swarg isi duniya me kadamo ke tale tere
mamata hi lutaye jiske nayan, ho
mamata hi lutaye jiske nayan
aisi koi murat kya hogi
ai ma, ai ma teri surat se alag
bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
us ko nahi dekha humne kabhi
kyo dhup jalaye dukho ki kyo gam ki ghata barase
ye hath duao vale rahte hai sada sar pe
tu hai to andhere path me hume, ho
tu hai to andhere path me hume
suraj ki zarurat kya hogi
ai maan, ai maan teri surat se alag
bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
us ko nahi dekha humne kabhi
kahate hai teri shan me jo koi unche bol nahi
bhagavan ke pas bhi mata tere pyar ka mol nahi
hum to yahi jane tujhse badi, ho
hum to yahi jane tujhse badi
sansar ki dolat kya hogi
ai maan, ai maan teri surat se alag
bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
us ko nahi dekha humne kabhi
par iski zarurat kya hogi ai maan
ai ma teri surat se alag
bhagavan ki surat kya hogi, kya hogi
us ko nahi dekha humne kabhi