Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Upar Baitha Ram (Version 2)
|
Nitin Mukesh | Laxmikant Pyarelal | ||||
Oonch Neech Beech (1989) | Aziz Qaisi | ||||||
tu upar baitha raam bharose
tu upar baitha raam bharose
sabka mujra dekhai raam
upar baitha raam bharose
sabka mujra dekhai raam
tore naam ki pi ke hum to, tore naam ki
raam ji tore naam ki pi ke ham to
naache subah shaam
takai ke tak dhin makai ke dana
na sujhe gana ??
takai ke tak dhin makai ke dana
na sujhe gana ??
log kahe jivan hai paani
are log kahe jivan hai paani
paani chadhe to aaye jawaani
ari hamri jawaniya aag me jal gayi
ek bhari botal ka paani
to paani se paani ka sangam
hoyi jaaye to badle mausam
ki mausam ka dekhj karishma karishma
khaali botal naache chham chham
pi ke zehar ham mar gaye duniya
phir bhi kare badnaam
upar baitha ji baitha
upar baitha re baitha
upar baitha raam bharose
sabka tu hi naseeb banaaye
tu hi amir garib banaaye
are hum to tere haatho ke deeye hai
tu hi jalaaye tu hi bujhaaye
aasmaan se phenke paasa
dharti upar mache tamaasha
hum to sau sau daav lagaaye
par kismat de jaaye jhaansa
sab maaya tumhari hai to phir kisko de iljaam
upar baitha raam bharose
sabka mujra dekhayi raam
upar baitha raam bharose
phaagun khile ya saawan barse
o phaagun khile ya saawan barse
are baarah maas ye jiyara tarse
kya paaya pardesh me aa ke
soch ke kya nikle the ghar se
tu humse ghar baar chhudaai
desh videsh hame bharmaaye
bhul gaye ham ganga jamuna
kaashi mathuraa yaad naa aaye
are bana gariban ki khaatir
e bambai tirthdhaam
upar baitha raam bharose
sabka mujra dekhai raam
upar baitha raam bharose
sabka mujra dekhai raam
are tore naam ki pi ke ham to
naache subah shaam
upar baitha raam bharose
sabka mujra dekhayi raam
upar baitha raam bharose