The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Unki Ankhon Se Masti
0
Pankaj Udhas Pankaj Udhas
Ghoonghat (Pankaj Udhas) (0) Traditional Ghazals
Lyrics of Unki Ankhon Se Masti - लोग सादा शराब पीते है

log sada sharaab peete hai
hum milakar gulaab peete hai
unki nazare ye kehati phirati hai
log nahaq sharaab peete hai

unki ankhon se masti barasti rahe
unki ankhon se masti barasti rahe
hosh udate rahe daur chalta rahe
hosh udate rahe daur chalta rahe
saara maikhana yun hi chhalkta rahe
saara maikhana yun hi chhalkta rahe
reend peete rahe shaikh jalta rahe
reend peete rahe shaikh jalta rahe

tum mere saamne aao to iss tarah
tum raho parde me mujhko deedar ho
tum mere saamne aao to iss tarah
tum raho parde me mujhko deedar ho
yun hi banthan ke chilman me baithe raho
yun hi banthan ke chilman me baithe raho
husn chhan chhan ke baahar nikalta rahe
husn chhan chhan ke baahar nikalta rahe
unki ankhon se masti barasti rahe
hosh udate rahe daur chalta rahe

zindagi hai humaari tumhara karam
tum raho meharbaan to nahi koi gam
zindagi hai humaari tumhara karam
tum raho meharbaan to nahi koi gam
humse na badlo tumse badle na hum
humse na badlo tumse badle na hum
roz chahe zamana badalta rahe
roz chahe zamana badalta rahe
unki ankhon se masti barasti rahe
hosh udate rahe daur chalta rahe

baad muddat ke uthi hai kaali ghata
maikasho ko peela aur paihum peela
baad muddat ke uthi hai kaali ghata
maikasho ko peela aur paihum peela
maikada tera saaqi salamat rahe
maikada tera saaqi salamat rahe
aaj to jaam par jaam chalta rahe
aaj to jaam par jaam chalta rahe
saara maikhana yun hi chhalkta rahe
saara maikhana yun hi chhalkta rahe
reend peete rahe shaikh jalta rahe
reend peete rahe shaikh jalta rahe
unki ankhon se masti barasti rahe
hosh udate rahe daur chalta rahe
hosh udate rahe daur chalta rahe