Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Unhei Qissaa
|
Mohammed Rafi | Madan Mohan | ||||
Naya Kanoon (1965) | Hasrat Jaipuri | Sad Songs | |||||
unhe kissa-e-gham likhane ko baithe
to dekhe kalam ki ravani me aansu
ye anmol tare, ye ulfat ke moti
unhe humne bheje nishani me aansu
unhe hum kahani sunane na paye
unhe daag dil ke dikhane na paye
ye aansu humare bade kaam aaye
jubaa ban gaye bejubani me aansu
na samjho ki aansu hai gham ki kahani
ye aansu hai ulfat ki pahli nishaani
mukadar ke katil ka itna karam hai
ke likhe hai meri kahani me aansu
unhe kissa-e-gham
jamane me taqdeer sab ki juda hai
tujhe kuch mila hai
mujhe kuch mila hai
udhar hai teri jindgani me khushiya
idhar hai meri jindgani me aansu
unhe kissa-e-gham likhane jo baithe
to dekhe kalam ki ravani me aansu