Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Unhei Kissa
|
Asha Bhosle | Madan Mohan | ||||
Naya Kanoon (1965) | Hasrat Jaipuri | Sad Songs | |||||
unhe kissa-e-gum likhne ko baithe to
dekhe kalam ki rawani me aasu
ye anmol tare hi ulfat ke moti
unhe hamne bheje nishani me aasu
unhe kissa-e-gum
mere dard ulfat unhe khich laya
najar jo uthayi to wo samne the
hamari khushi ko wo alam na pucho
nikal aaye the sath khumari me aasu
unhe kissa-e-gum
mere aasuo me chhupe hai wo tufa
jo machle to sare jaha ko dubo de
mere aasuo me chhupe hai wo tufa
jo machle to sare jaha ko dubo de
abhi tumne dunia me dekha hi kya hai
laga dete hai aag pani me aasu
unhe kissa-e-gum
ye aasu ke jugnu meri roshni hai
andhere me rahe dikhate ha mujhko
na samjhegi dunia na samjho ge tum bhi
jhalakte hai meri kahan me aasu
unhe kissa-e-gum likhne ko baithe to
dekhe kalam ki rawani me aasu
ye anmol tare hi iulfat ke moti
unhe hamne bheje nishani me aasu
unhe kissa-e-gum