Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Udhar Baalon Men Kanghi, Zulfon Ki Sunahari Chhaanv Tale
|
Talat Mehmood | Shaukat Dehlvi Nashad | ||||
Zindagi Ya Toofan (1958) | Nakhshab Jaaravchi | ||||||
udhar baalo me kanghi ho rahi hai kham nikalta hai
idhar rag rag se khich khich kar hamara dam nikalta hai
zulfo ki sunehari chhaanv tale
ik aag lagi do dip jale
jab pehali nazar ke tir chale
mat puchh ki dil par kya guzari
jab pyaar hue do nain mile
jab aayi bahaar aur phul khile
jab baat hui aur lab na hile
mat puchh ki dil par kya guzari
itna saa hai dil kaa afsana
apna na huaa ik begaana
nazare to mili aur dil na mile
kuchh unase hame shiqave na gile
kyaa khub mile ulfat ke sile
mat puchh ki dil par kya guzari
rah rah ke tadpana ghabrana
har baat pe dil bhar bhar aana
aansu bhi bahe sina bhi jale
armaan ajab kaanto me dhale
is pyaar se ham bepyaar bhale
mat puchh ki dil par kya guzari