Lyrics of Tuti Hui Kishti Ka Bane Kaun Sahara - टूटी हुई कश्ती का बने कौन सहारा
tuti hui kasti ka bane kaun sahara
wo bhi na hamare hue
na dil hi hamara
bane kaun sahara
tuti hui kasti ka bane kaun sahara
wo bhi na hamare hue
na dil hi hamara
bane kaun sahara
kaliyo ki tabiyat gulshan me kho gayi
bulbul ke liye daliya zanzeer ho gayi
raate bitai yad me din roke gujara
din roke gujara
wo bhi na hamare hue
na dil hi hamara
bane kaun sahara
pahuchi jami se aasma tak
meri justju
jis or dekhta hu mai
us or tu hi tu, us or tu hi tu
kaali ghata me chhup gaya
kismat ka sitara, kismat ka sitara
wo bhi na hamare hue
na dil hi hamara
bane kaun sahara
ye geet adhura hi raha
chhut gaya saaz, chhut gaya saaz
mere liye baki nahi ab
koi bhi aawaz
ab koi bhi aawaz
phir kisne bulaya mujhe
aur kisne pukara, fir kisne pukara
wo bhi na hamare hue
na dil hi hamara
bane kaun sahara
mehman banke lut liya
hasta hua ghar
kaante hi aaye raah me
jaye kaho kidhar
jaye kaho kidhar
jaye kaho kidhar
barbad kiya tune jise
hamne sawara, hamne sawara
wo bhi na hamare hue
na dil hi hamara
bane kaun sahara
tuti hui kasti ka bane kaun sahara
wo bhi na hamare hue
na dil hi hamara
bane kaun sahara