Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tumhi Se Roshan Hai Raat Meri
|
Talat Aziz, Asha Bhosle | Khayyam | Shabana Azmi | |||
Lorie (1985) | Bashar Nawaz | ||||||
tumhi se roshan hai raat meri tumhi se roshan hai raat meri
tumhi se har din huwa sunehra uthhe jahan bhi nazar tumhaari
uthhe jahan bhi nazar tumhaari ho zindagi ka wahin savera
sajje thay kabse tumhaare sapne meri nigahon ke darpanon mein
sulagti rehti thi dheemi dheemi ye aag madhma ke savanon mein
sakoon hai jabse geysuon ki haseen chaaon mein hai besera
uthhe jahan bhi nazar tumhaari ho zindagi ka wahin savera
ye kaise jaadoo jaga diye hain mere khayalon ke aanganon mein
sunoo sadaaye tumhaare dil ki
main apne seene ki dhadhkanon mein
jidhar bhi jaoon hai saath jaise tumhari baahon ka narm gheyra
tumhi se roshan hai raat meri tumhi se har din huwa sunehra
naya nahin hai ye dil ka mausam
bhayi nahin hain chaahtein humaari
milay nahin thay magar hamesha nigah mein thi chhavi tumhaari
thi mere dil mein tumhaari dhadhkan
tumhaare honton pe naam mera tumhi se roshan hai raat meri
tumhi se harr din huwa sunehra uthhe jahan bhi nazar tumhaari
ho zindagi ka wahin savera ho zindagi ka wahin savera
ho zindagi ka wahin savera